aa hosh mein sajjad ke ghar jal gaye saare
sab toot gaye zainab e muztar ke sahare
ghode ke qadam thaam ke kehti thi sakina
baba ho mujhe chod chale kis ke sahare
aa hosh mein sajjad...
ye tera hi dil hai ke sina kheenchi hai tu ne
sadqe tere shabbir ibrahim pukare
aa hosh mein sajjad...
baithi hai yateemon ko jalay qaime mein le kar
saydaniyan tanha hai ke waaris gaye maare
aa hosh mein sajjad...
mai aakhri ruqsat ke liye aayi hoon bhaiya
ghazi ko pukaro hamay mehmil se utaare
aa hosh mein sajjad...
bhaiya tere baazu mujhe raste mein mile hai
ye kya hai yahan tum ho wahan baazu tumhare
aa hosh mein sajjad...
haathon pe utha ke kaha shabbir ne logon
baccha mera dam todta hai pyaas ke maare
aa hosh mein sajjad...
khat likhti hai shikwon ke usay kaun bataye
tu lut gayi sughra tere bhaiya gaye maare
aa hosh mein sajjad...
zainab ne diya bosa jo bhai ke galay par
shabbir chale qaime se rone lage saare
aa hosh mein sajjad...
likha hai mujhe sadqe mein asghar ke bula lo
dam ghut'ta hai bhaiya mere tanhaai ke maare
aa hosh mein sajjad...
maare hai tamache mujhe baalon se pakad kar
durr khaynch ke zaalim ne hai kaano se utaare
aa hosh mein sajjad...
shabbir lehed khod ke ye soch rahe hai
ab kis se kahe qabr mein asghar ko utaare
aa hosh mein sajjad...
baba mujhe ek pal ko hi seene se laga lo
din bhar se hoon bechain bahot dard ke maare
aa hosh mein sajjad...
hurmal ne kaha teer chala kar shahe deen se
aata hai abhi jaam e qaza paas tumhare
aa hosh mein sajjad...
dekhe to nisar aaj koi hurr ka muqaddar
dozakh se chala aagaya kausar ke kinare
aa hosh mein sajjad...