Kanz e Aza

Roze Ashoora

A noha written by Baba Nisaar Haideri. Lyrics in Roman Urdu.

roze ashoora subha ko di jo akbar ne azan

shamiyon ne haye samjhi na risalat ki zaban


dhoondti phirti hai laashon may sakina baap ko

haye baba mera baba bolo baba ho kahan

roze ashoora subha...


saamne laashein pade hai waarison ke jaa bajaa

ek jalay qaime may baithi hai ali ki betiyan

roze ashoora subha...


rakh ke sar aaghosh may abbas se shah ne kaha

mai tere sadqe biradar hai tere baazu kahan

roze ashoora subha...


maut kehti thi mubarak ho tumhe umme rabab

muskurakar tod di asghar ne hurmal ki kaman

roze ashoora subha...


padh ke khat sughra ka shah ne laashe akbar se kaha

jaa bulaati hai tujhe ujde gharon ki paasban

roze ashoora subha...


kar ke moo suye madine umme laila ne kaha

aao sughra ban chuke dulha tumhare bhai jaan

roze ashoora subha...


ya khaleel allah zara ye hausla to dekhiye

khanychte shabbir hai seena e akbar se sina

roze ashoora subha...


cheenli shimr e sitamgar ne tamache maar kar

baap ne to pyar se pehnayi thi jo baaliyan

roze ashoora subha...


is liye laaye nahi qaime may asghar ko hussain

dekhli tooti hui gardan to mar jaayegi maa

roze ashoora subha...


hai rasan basta saron may khaak hai sab ke nisaar

shaam ki jaanib chala aale nabi ka kaarwan

roze ashoora subha...