Kanz e Aza

Roze Ashoora

A noha written by N. Sarwar & J. Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

kullu yaumin ashoora kullu arzin karbala ya hussain ya hussain

allah allah roz e ashoora karo matam karo gham aur padho nauha

arsh waalon ne kiya farsh waalon ne kiya chand taaron ne kiya

ya hussain hussain hussain ya hussain

ya hussain hussain hussain ya hussain

jab basi karbobala wo hai ashoor ka din

jiska gham kam na hua wo hai ashoor ka din

yaad mein jiski sada bichta hai farshe aza

hota matam hai bapa paara paara hai dil e zehra

karo matam karo gham aur padho nauha

allah allah roz e ashoora karo matam karo gham aur padho nauha

kullu yaumin ashoora kullu arzin karbala ya hussain ya hussain

ya hussain hussain hussain ya hussain

ya hussain hussain hussain ya hussain

momino socho zara das moharram jo hua

ghar nabi paak ka tha jo tha laakhon mein ghira

jin pe har zulm hua jinko pani na diya

pysasa hi maar diya aale ahmed ka ujad jaana

karo matam karo gham aur padho nauha

allah allah roz e ashoora karo matam karo gham aur padho nauha

arsh waalon ne kiya farsh waalon ne kiya chand taaron ne kiya

ya hussain hussain hussain ya hussain

ya hussain hussain hussain ya hussain

haan suno ashoora bibi zainab se zara

saamne jiske luta ghar sar e karboabala

jiska kuch bhi na bacha jiska dil tukde hua

jiska ghar qaidi bana kaise zainab ne ye sab dekha

karo matam karo gham aur padho nauha

allah allah roz e ashoora karo matam karo gham aur padho nauha

kullu yaumin ashoora kullu arzin karbala ya hussain ya hussain

ya hussain hussain hussain ya hussain

ya hussain hussain hussain ya hussain

wo hussain jiski sada la ilaaha illal laa

zer e khanjar bhi kaha la ilaaha illal laa

imtehan asia diya apna sab waar diya

koi baakhi na raha jiska pamaal hua laasha

karo matam karo gham aur padho nauha

allah allah roz e ashoora karo matam karo gham aur padho nauha

arsh waalon ne kiya farsh waalon ne kiya chand taaron ne kiya

ya hussain hussain hussain ya hussain

ya hussain hussain hussain ya hussain

bakhuda yaad rahe kya hai tehzeeb e aza

ho azadari bapa aur namazein bhi adaa

lab pe ya allah rahe ya rasool allah rahe

ya ali maula rahe aise hota rahe ashoora