Kanz e Aza

Shaad Rahe Karbala

A noha written by N. Sarwar & J. Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

hussain hussain hussain hussain

hussaina hussaina hussaina

maula mere maula mere maula


bachpan se tumhara mai azaadar hoo maula

ghar ghar mein sada aap ka farshe aza dekha

main is se juda reh nahi sakta

ye majlis o matam rahe maula

ye dil ki dua hai ye dil ki dua hai

yeh dil ki dua dil ki dua hai


shaad rahe karbala abaad rahe karbala

dil ki ye dua hai ya hussain

silsila dar silsila silsila dar silsila

jaari rahe ye sada hussain

shaad rahe karbala abaad rahe karbala


badshaah hussain ki saltanat hai karbala

jis ka paasban hai maula ghazi bawafa

aap ne hussain bakhuda

khoon se saja di karbala

karbala ki ay khuda shaan ye rahe sada

dil ki ye dua hai ya hussain

shaad rahe karbala...


janaat e maa karbala

raahat e maa karbala


maula ne basa diya aisa shehr karbala

jis ki khaak bhi shifa jis ki jannati fiza

doosri na hogi karbala

hoga na hussain doosra

honge na kabhi juda ab hussain o karbala

dil ki ye dua hai ya hussain

shaad rahe karbala...


dhadkano mein ba khuda goonjti hai karbala

har sada mein jaa baja bolti hai karbala

kehta hai zamana ya hussain

ya hussain hussain hussain hussain

gham tumhara ho sada ay shaheed e karbala

dil ki ye dua hai ya hussain

shaad rahe karbala...


janaat e maa karbala

raahat e maa karbala


hum ko waledayn ne karbala batayi hai

saath le gaye hamein karbala dikhayi hai

ziyaratein na bhool payenge

din hmein wo yaad aayenge

hai khuda se iltija sab ko karbala dikha

dil ki ye dua hai ya hussain

shaad rahe karbala...


zindabad ya hussain ya hussain zindabad

panjatan ke paanchwe noor e ain zidabad

marhaba hussain marhaba aap ne kamaal kar diya

azmaton ke badshaah aap ki rahe ataa

dil ki ye dua hai ya hussain

shaad rahe karbala...