Shaahedee'n laashe ibne hasan par ro rahe hai
rakh ke roomaal aankho'n pa sarwar ro rahe hai
laash jalti zamee'n par padi hai, bekasi hai
haaye ghurbat pa dulha ki sarwar ro rahe hai
Sar pa sehra kalaai me kangna, hai suhaana
bar me joda hai sab qoon me tar , ro rahe hai
leke aayi dulhan ko jo zainab, shaahedee'n jab
apni beti ko bewa banaakar , ro rahe hai
laash dulha ki abbaso akbar, laaye dar par
tukde tukde hai sab jisme at'har ro rahe hai
karbala me rachi jaisi shaadi, phir na hogi
jinno inso malak bekasi par, ro rahe hai
hashr qaime me tha ae "himaayat", waae ghurbat
bibiyaa'n peet kar seenao sar ro rahe hai