SHAHE DEEN KUBRA KI NAZRO SE YE MANZAR LE GAYE
Thi Sakina ki sada baba ye kaisa aqd hai
Gul na mehandi ke khile run mein utha kar legaye
Lashe Qasim aur ashkon ka samandar legaye
Aarzoo-e-Mujtaba pamal run mein thi padi
Rooh-e-Zehra-o-Ali ko khud dikhakar legaye
Lashe Qasim aur ashkon ka samandar legaye
Roke kehti thi Ajal Qasim bane ki lash par
Hath mehandi se range ya khoo’n lagakar legaye
Lashe Qasim aur ashkon ka samandar legaye
Karbala ka zarra zarra horaha tha beqaraar
Jab aba mein shahe-e-deen tukde bahattar (72) legaye
Lashe Qasim aur ashkon ka samandar legaye
Lash-e-Pamal se dulhan ki nazro’n ne kaha
Dil se mere khoon ke dariya bahakar leaye
Lashe Qasim aur ashkon ka samandar legaye
Jis ghadi randsala pehnaya to bewa ne kaha
Aik hi sa-at mein dulhan ka muqaddar legaye
Lashe Qasim aur ashkon ka samandar legaye
Tazkira shadi ka karke ro padi Kubra dulhan
Be kafan hai laash aada meri chadar legaye
Lashe Qasim aur ashkon ka samandarlegaye
Hath mein kangne ki ja phir baandh kar rassi hame
Sar barehna darbadar Qasim sitamgar legaye
Lashe Qasim aur ashkon ka samandar legaye
Hashr mein Qasim khadi thi jab Hussaini Anjuman
Qasim-e-Noushah sab ko Suwe Kauser legaye
Lashe Qasim aur ashkon ka samandar legaye