THA SAHARA AIK HI ABBAS KA
Karbala hai Faqr-e-Shah-e-Mustafa
Uthgaya sar faqr se islam ka
Sar jhukate hain yahan bhi ambiya
Kardiya tumne bhi apna haq ada
Karbala ka zarra zarra hai gawah
Aal-e-Ahmed ka yahan par sar kata
Sani-e-Zehra ki chhinti hai rida
Hashr tak aati rahegi ye sada
Dekh uthke aye nigehbane haram
Kis ghazab ke hai yahan zulm-o-sitam
Tumhi batlao pukare kisko hum
Shumr hai durra liye hum par badha
Ye zamee’n-o-aasmaa’n hilne lage
Sunke Zainab ki sada rone lage
Zulm hum par baniye shar ne kiye
Kya qata thi koi batlaye zara
Umm-e-Laila ka jigar tukde huwa
Beqata Shashmaha bhi maara gaya
Maang ujdi aur jhoola bhi jala
Deti hai har waqt Laila ye sada
Qasim ibn Hasan paamal hai
Qatl Zainab ke huwe hai laadle
Bekafan laashe rahe run mein pade
Ek hi din mein qatima sab ka huwa
Ab paresha’n Zainab-e-Dilgeer hai
Tegh hai shamsheer naiza teer hai
Nargha-e-Aada mein ab Shabbir hai
Saqt mushkil mein hai bhai ab mera
Sham hote hi badhe zulm-o-jafa
Ab dhuwa’n qaime se Sarwar ke utha
Abid-e-Beemar ka bistar jala
Kuch khabar tumko nahi hai bawafa
Shab Gharebo’n ki andheri raat hai
Dekhti Zainab jali qannath hai
Phir se dushman ne lagaye ghaath hai
Leli Zainab tumne bhai ki jagah
Karbala se shaam ke zindaan tak
Taaza mehshar tha bapa maidan tak
Bhool baithe ummati ehsaan tak
Darbadar Shabbir ka kunba huwa
Dhoop ki shiddat wo pani ki kami
Rote rote thi na palko par nami
Ek tamasha bangayi thi zindagi
Aik chaadar ka mila na aasra
Zainab-o-Kulsoom ke bazu bandhe
Ek rasan mein bandhgaye baara gale
Kaise kaise zulm jo hum par huwe
Hota hai aisa kisi par zulm kiya
Hum Hussaini ko hai Zehra ki dua
Matam-e-Sarwar ka dengi wo sila
Qadm-e-Moula honge jannat mein jaga
Anjuman ko mil gaya sadqa tera
Haye wo zindaan ke ranj-o-alam
Qaid mein Allah re zulm-o-sitam
Tha kahan jaana kahan par aaye hum
Poochne wala koi ab na raha
Tumko Agha hai ye moula ki ataa
Naam-e-Sarwar par ho teri jaa’n fida
Tumko dar se Shah ke kya kya mila
Shai ki marqad par ho tera Haj ada