YA HUSSAINAM YA HUSSAIN
Laasha-e-Shabbir par roke Zainab ne kaha
Dekho maajaye mere chhingayi sar se rida
Mai karun kisse gila ab nahi koi mera
Ya Hussainam Ya Hussain, Ya Hussainam Ya Hussain
Karbala ke dasht mein dekhkar ghurbat meri
Aaj mere haal par ro rahi hai bekasi
Bin tere kaise kate ab ye sari zindagi
Ya Hussainam Ya Hussain, Ya Hussainam Ya Hussain
Dekhiye taqdeer bhi hogayi humse khafa
Akber-o-Abbas bhi hogaye humse juda
Kehti hai Zainab yehi hum huwe be-aasraa
Ya Hussainam Ya Hussain, Ya Hussainam Ya Hussain
Karbala ke bun mein jo tha Nigehban-e-Haram
Us Jari ke jism par ye huwe zulm-o-sitam
Haye uske hogaye neher par baazu qalam
Ya Hussainam Ya Hussain, Ya Hussainam Ya Hussain
Wada-e-Tifli jo tha tune wo poora kiya
Thi tere pesh-e-nazar kalma-e-haq ki baqa
Bachgaya Deen-e-Nabi katgaya tera gala
Ya Hussainam Ya Hussain, Ya Hussainam Ya Hussain
Sehrahi hoon bhaijaa’n mai har ek ranj-o-mehan
Berida hai sar mera laash teri bekafan
Dasht mein majboor hai kya kare bekas bahen
Ya Hussainam Ya Hussain, Ya Hussainam Ya Hussain
Aalam-e-Ghurbat mein ye deti hai Zainab sada
Apne dono’n laal ko kar chuki haq par fida
Daagh hai dilpar phir bhi tu na bach saka
Ya Hussainam Ya Hussain, Ya Hussainam Ya Hussain
Kehke ye sab Bibiyaa’n karti hain aah-o-buka
Jism tukde hogaya Qasim-e-Noshah ka
Aye Nazar is haal par rorahi hai maamta
Ya Hussainam Ya Hussain, Ya Hussainam Ya Hussain