Ya Imam E Raza Ya Imam E Raza
Aye Gharibul Watan Aye Shaheed E Jafa
Ya Imam E Raza Ya Imam E Raza (x3)
1.Zaher De Kar Kiya Haaye Tum Ko Shaheed
Waqt K Apne Mamoom Bhi Tha Yazeed
Chain Se Ek Pal Bhi Na Rehne Diya
Ya Imam E Raza (x3)
2.Besabab Apko Mara Mamoon Ne Ki Dagha Apse Ibne Haroon Ne
Zulm Ki Aap Par Hogayi Inteha
Ya Imam E Raza (x3)
3.Zaher Ka Aap Par Is Qadar Tha Asar
Hogaya Zaher Se Tukde Tukde Jigar
Kusht E Rang O Gham Saniy E Mushtaba
Ya Imam E Raza (x3)
4.Apke Gham Me Rote Hai Sab Momineen
Ro Raha Hai Falak Ro Rahi Hai Zameen
Aayi Pardes me Haaye Kasi Qaza
Ya Imam E Raza (x3)
5.Asr E Ashur Ka Tha Sama Saba sab
Zaher pikar Tarapte Rahe Khaak Par Phir Gayi Nighaao Me Karbala
Ya Imam E Raza (x3)
6.Hum Sipah E Hussaini Hai Ya Fatima
Sar Pe Saya Figan Apki Hai Dua
Roke karte Matam Shahe Toos Ka
Ya Imam E Raza (x3 )
7.Gham Hai Barpa Imam E Raza Ka Hassan
Jispe Pardes Me Guzri Rang O Mehan
Ashk Aankhao Me Ho Lab pah Ho Ye Sada ..
Ya Imam E Raza (x3)