ya saarallah hussain ya saarallah hussain
hussain ya hussain hussain ya hussain
tere hi gham mein sar ko kataye
tere hi gham mein jaan lutaye
ya saarallah hussain
teri taarf jab dil jaata hai
banda khuda se mil jaata hai
zakhm jigar ka sil jaata hai
gham ki dawa hum tujhse hi paaye
hussain ya hussain...
ya saarallah hussain...
farshe aza aur tera matam
aise namaz e ishq pade hum
eid ho ya ho maahe muharram
aati rahe har ghar se sadayein
hussain ya hussain...
ya saarallah hussain...
shajron ki tasdeeq tera gham
naslon ke tehqeeq tera gham
baais e taqleeq tera gham
kyun na sadayein dil se ye aaye
hussain ya hussain...
ya saarallah hussain...
ashke aza jageer hamari
matam hai tafseer hamari
farshe aza tameer hamari
farshe aza phir kyun na bichaye
hussain ya hussain...
ya saarallah hussain...
ahle jahan maane na maane
inko to mukhtaar hi jaane
zinda hai tujhse hi azaanein
batlaati hai khooni qabayein
hussain ya hussain...
ya saarallah hussain...
tujhpe chala jab shimr ka khanjar
zehra ki aaghosh mein tha sar
mehwe buka thi roohe hyder
kehti thi kis tarha bachayein
hussain ya hussain...
ya saarallah hussain...
baad tere wo shaam e ghariban
sehme huwe bacche thay hirasan
pehre par zainab thi pareshan
le gaye zaalim sar se ridayein
hussain ya hussain...
ya saarallah hussain...
itni jafayein zainul liba par
shukr kiya har ek jafa par
dekhi ridayein nok e sina par
jalti zameen aur garm hawayein
hussain ya hussain...
ya saarallah hussain...
mazhar ki har waqt dua hai
dunya ki har shay ko fana hai
jab tak baaqi ye dunya hai
aati rahe matam ki sadayein
hussain ya hussain...
ya saarallah hussain...