ya zahra mazlooma mazlooma mazlooma
ya zahra masooma masooma masooma
ay bibi tum jaisi dekhi nahi mazlooma
gham koi aisa ho jo tum ne nahi dekha
ummat ke taane bhi faaqe bhi sahe tum ne
baba ki furqat mein din raat kiya nauha
sadmon se bhara har din hai tera
dil kehne laga ya zahra
ya zahra mazlooma...
pehle to zaalim ne jageer teri cheeni
maani na logon ne tehreer mohamed ki
tujhko bi jhutlaya beton ko bhi jhutlaya
moo dhaampe chadar se tu roti rahi bibi
par kis ne suna wo nauha tera
ye bhi hai jafa ya zahra
ya zahra mazlooma...
baad iske logon ne jab ghar ko tere ghera
bachon ko dhamkaya ek shor hua barpa
talwarein naize thay aur mashale haathon mein
yun toote wo zaalim ghar phoonk diya saara
ghar tera luta darwaza jala
ye gham hai bada ya zahra
ya zahra mazlooma...
jab jalta darwaza pehlu pe gira bibi
baazu bhi zakhmi thay pehlu bhi hua zakhmi
darwaze ke upar se ahle sitam guzre
is tarha ay bibi ek aur jafa dekhi
mohsin bhi tera dunya se gaya
ye gham bhi saha ya zahra
ya zahra mazlooma...
teri ghurbat ki qasam haye meri shehzadi
tu bhi mazloom hai mazloom ali maula bhi
ek taraf tayghe ali ek taraf hukme nabi
zakhmi pehlu hai tera unke galay mein rassi
jab rasan baandhi gayi teri faryad suni
al madad sher e jali haye kya karte ali
aisi to dunya mein ghurbat na kabhi dekhi
aaya na mayyat mein yasrab ka makeen koi
bas dono shehzade thay nauha kuna tujh par
dafnaya maula ne jab tujhko meri bibi
chalees jagah marqad tha tera
kyun aisa kiya ya zahra
ya zahra mazlooma...
waise to posheeda bibi teri turbat hai
lekin jo zaahir mein marqad ki alaamat hai
tareeki roti hai marqad pe tere ab tak
rone par paabandi ye kaisi mohabbat hai
yun kar ke buka ye ahle aza
royenge sada ya zahra
ya zahra mazlooma...
lafzon mein likh paaye wo zakhm koi kaise
ummat se jo tum ne hai baade nabi khaaye
royenge ta mehshar ye ahle aza bibi
mesum bhi mazhar bhi royenge yehi keh ke
aankhon ki aza matam ki fiza
ye haq hai tera ya zahra
ya zahra mazlooma...