sad shukr mere maula
zehra ke aansuon se takleeq jo hua tha
kaale libaas waala ye matami qabeela
matam hamara maslak majlis hamara mazhab
har matami ke seene par ye jo nishan hai
ye hussaini qabeele ki pehchan hai
iski tehzeeb mein hai basi karbala
aur iski gawahi mein dekho zara
sab ke ghar pe alam dekho abbas ka
bacche bacche ke lab par yehi hai sada
ye hussaini qabeele...
apne bacchon ko taleem de hum sada
majlis e shaahe deen hai tera madresa
maa ki aghosh mein tu ne nauhe sune
inhi nauhon se dunya ko batlayega
ye hussaini qabeele...
aankh mein aansuon ka ye sawan liye
sirf matam kare haath jab bhi uthe
ye nishani hai sheh ke azadaar ki
kaale kapde badan par gawahi bane
ye hussaini qabeele...
jab kahin bhi nazar aaye mashk o alam
dekh kar ye alam aankh ho jaaye nam
ye nishani wafa aur wafadaar ki
is alam ki hi nisbat se kehte hai hum
ye hussaini qabeele...
aathween ko jo parcham sajate hai hum
aur bacchon ko saqqa banate hai hum
faaqa karte hai hum roz e ashoor ko
pyasa reh kar jahan ko bataate hai hum
ye hussaini qabeele...
tum ne socha nahi ahle dunya zara
jaa baja in sabeelon ka matlab hai kya
apna naam o nasab khud bataati hai ye
aur tum ko bataate hai ahle azaa
ye hussaini qabeele...
shaah raahon pe hai jo juloose aza
karbala ke shaheedon ka hai maujiza
apne khoon mein nahaye hai sab matami
khoon beh kar badan pe ye kehne laga
ye hussaini qabeele...
hai hamare labon par jo naam e ali
ye wazeefa bhi hai aur aqeeda yehi
hum muhibban e hyder hai bas isliye
jang nasle yazeedi se hai aaj bhi
ye hussaini qabeele...
is qabeele ke peer o jawan tifl bhi
apne maula ke lashkar ke hai askari
sar katane ko tayyar hai har ghadi
dekh kar is shuja'at ko bole ali
ye hussaini qabeele...
is qabeele ki maa'on ko mera salaam
aur salaam is qabeele ki behno ke naam
bhaiyon aur beton ka gham bhool kar
karti rehti hai zikre shahe tishna kaam
ye hussaini qabeele...
deta rehta hai farhan paigham e gham
haq bataata hai jo usko mera qalam
ghar mein shadi ho mazhar to majlis bhi ho
faqr hai ye hamara khuda ki qasam
ye hussaini qabeele...