zainab ne khutba diya darbar hilne laga
khutbaat ki taygh se ye kehke hamla kiya
zainab hoo mai mera baba ali meri maa sayyeda
ay shaamiyon ghaur se tum suno aaj khutba mera
zainab hoo mai mera baba ali meri maa sayyeda
ye na samjho ke majboor o lachaar hoo
azme shabbir haider ki talwaar hoo
marzi e rab se gham mein giraftaar hoo
baad e abbas mai hi alamdar hoo
pehchan lo sunke lehja mera kaun hoo ba-khuda
zainab hoo mai...
jaan jaoge tum mera naam o nasab
jisne paaya hai sher e khuda ka lakhab
uski beti hoo mai jaante hai ye sab
aaj dekhoge tum mera ghaiz o ghazab
mai shaam ko jeet kar jaungi azm hai ye mera
zainab hoo mai...
meri rag rag mein hai khoone khyber shikan
kya mujhe qaid kar payegi ye rasan
sher jaise baradar ki hoo mai bahan
kaamp jayenge lehje se kyun ho daman
waada wafa mai karoongi yahan bhai shabbir ka
zainab hoo mai...
ibne marjan jaisa najis aadmi
ye samajtha hai fatha usay milgayi
qatl hokar bhi zinda hai mera aqi
hai dilon par hukoomat mere bhai ki
baad'az hussain bangayi mai hussain ye rajaz hai mera
zainab hoo mai...
dekhna kaam aisa mai kar jaungi
hogi is shehr par bhi hukoomat meri
hogi majlis yahan par mere bhai ki
mai mita doongi zehno se yun teeragi
hoga wohi maine jo keh diya ye hai daawa mera
zainab hoo mai...
mere khutbon se goonjengi ye wadiyan
lehja e hyderi hoga sab pe ayan
yun gira doongi khutbaat ki bijliyan
ab ye aywaan e zulmat rahenge kahan
reh jayega is faza mein asar meri awaaz ka
zainab hoo mai...
shaam walon suno baat meri mazeed
jitna chaho karo zulm hum par shadeed
mujhko khud par bharosa hai rab par umeed
bhool jayega bayyat ki baatein yazeed
ye azm hai aur aelaan hai karke dekho wigha
zainab hoo mai...
tum kahan aur zehra ki beti kahan
rok payengi kya mujhko ye sakhtiyan
tod daalungi mai saari pabandiyan
jitni chaahe bhi pehnado tum bediyan
jaana nahi tum ne shayad mujhe sunlo ahle jafa
zainab hoo mai...
binte haider ka safdar ye elaan tha
apne bhai se maine jo waada kiya
sunlo ahle jafa sunlo ahle jafa
jaan de kar karoongi wo waada wafa
muztar hoo mai aur qaidi bhi hoo phir bhi hai hosla
zainab hoo mai...