Kanz e Aza

Zainab Ko Madina

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

jab qaime jalay asbaab luta

zainab ko madina yaad aaya

sab qatl huwe koi na raha

zainab ko madina yaad aaya


mazloom ki thi sajde may jabeen

zaalim ne chalayi sheh pe churi

jis waqt gala bhai ka kata

zainab ko madina yaad aaya

jab qaime jalay...


darya ke kinare karbal may

abbas ke baazu qalam huwe

jab zeen se utra shaah e wafa

zainab ko madina yaad aaya

jab qaime jalay...


akbar ke kaleje may thi ani

aur teer galay mau asghar may

sajde may jhuka ek abd e khuda

zainab ko madina yaad aaya

jab qaime jalay...


bhai na rahe bete na rahe

jab aayi shaam gharibon pe

be-aas huwe jab aale aba

zainab ko madina yaad aaya

jab qaime jalay...


sab matami matam karte hai

aashiq ki zaban pe hai nauha

ye keh ke aalam hota raha

zainab ko madina yaad aaya

jab qaime jalay...