Aankhon me Karbala ka nazara liye huwe
Ehsaas me Hussain ka Laasha liye huwe
Ashkon me khoone zakhme tamanna liye huwe
Abbas ke Alam ka pharera liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe
Daagho'n me aag aag me ghut'ta hua dhua'n
Maaninde mauj aankh se aansu rawa'n rawa'n
Baazu pa reesmaan ke ubhre huwe nasha'n
Seene me zakhme marge Sakina liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe
Zinda'n se chhoot kar bhi nahi'n ranj se firaagh
Roshan hain daaghe qalbe jigar surate charaagh
Karbobala me lutgaya Sibte Nabi ka baagh
Qalbe figaar chaak kaleja liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe
Teero'n se chaak chaak hai Sarwar ka pairahan
Abbas ka libaas wo Akbar ka pairahan
Dooba hua hai khoon me Asghar ka pairahan
Bano ke Sheer khwaar ka jhula liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe
Abbas jaane Haidare Safdar ki yaad hai
Qasim ki yaad hai Ali Akbar ki yaad hai
Seene me ek dil hai Bahattar ki yaad hai
Ujda hua Hussain ka kunba liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe
Gardan ka tauq Aabide muztar ki bediyaan
Kuch bediyon ke daagh toh durron ke kuch nishaan
Cheeni hui Sakina ke kaanon ki baaliaan
Nanhi se ek bachi ka sadma liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe
Karbobala me lut gaya gulzaar ePanjatan
Paamaal daste kee'n me hua Dilbar e Hasan
Pehne huwe hain bewa ki poshaak ek Dulhan
Qasim Bane ke maathe ka sehra liye huwe
Zainab Madine jaati hai kya kya liye huwe