Amma Ali Akbar pa huwa zulm kahu'n kya zakhmi tha kaleja
Tha khoon me doobahuwaWo Mannaton wala Laila nebhi Dekha
Laasha raha begoro kafan jalti zami'n par
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar
Sab qatl huwe jab huwa BhaiMera Tanha is zulm se maara
Wo Kehtaraha hu' Main MuhammadkaNawasa kuch rahm nakhaya
Tha Pyaasa Gala Bhai ka aur shimr ka khanjar
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar
AmmaMereBhaika raha dhoop me Lasha Sar Tann se Juda tha
Koi na tha dil Gham se Mera doob raha tha kya wagqt pada tha
Mayyat pa udhaane ke liye thi nahi chaadar
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar
Jis waqt huwe shaam ke darbar me dakhil thi sakht wo manzil
Yaad aagaye Abbas to dil hogaya bismil tha zabt bhi mushkil
Shabbir ke aansu ne sahara diya badhkar
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar
Nikli thi Madine se to Hamrah tha Kunba ab kya kahe Dukhiya
Dil toot gaya Shaq hai MeraGham se kaleja Main Rehgayi Tanha
Jangal me luta Aayi Hu'n Main Tera Bhara Ghar
Pardes me barbaad huwa Mera Bhara Ghar