karbobala se lut ke amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke amma
zainab e muztar aayi hai
jab shimr e layeen sheh ka gala kaat raha tha
us dam nahi thay akbar o abbas e bawafa
nazron se manzar dekh ke amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke...
jalti zameen pe laasha pada tha jo bekafan
roti tadapti reh gayi shabbir ki behan
bhai ko ban mein chod ke amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke...
qasim ki laash qaime mein aayi hai jis ghadi
farwa ye keh rahi thi sambhale mujhe koi
usko dilaasa de ke amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke...
karbobala ka manzar nahi bhool paaungi
apne ghareeb bhai ka mai gham manaungi
shaah ka pursa lene amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke...
kufe mein qaidi ban ke jis waqt hum gaye
muslim ke sar ko dekh ke sajjad ro diye
bhai ko khwahar ro ke amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke...
qaime bhi jal gaye meri chadar bhi chin gayi
be-maqna be-rida mai bazaar mein gayi
chehra chupa kar shaam se amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke...
zakhmon ko kis tarha se dikhaungi mai tumhe
jo zulm hum pe dhaaye hai zaalim ne shaam mein
kaanton pe chal ke shaam se amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke...
wo aun o mohamed jo mere saath gaye thay
wo bhi tere hussain pe qurban kar diye
shukr ka sajda kar ke amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke...
zehra ki qabr pe jo tha zainab ka marsiya
us ko ali ne kis tarha ro ro ke hai likha
bhai ko apne kho ke amma
zainab e muztar aayi hai
bhai ko apne kho ke...