ab watan jaa rahi hoon ay bhai
ek bekas behan ka tha nauha
shamiyon ne bula ke karbobala
mere bhai ko zibha kar daala
maa ko sab kuch sunaungi jaa kar
ab watan jaa rahi...
asre ashoor ko na akbar tha
aur na abbas sa baradar tha
sheh ka pamaal kar diya laasha
maa ko sab kuch sunaungi jaa kar
ab watan jaa rahi...
wo masayeb uthayi hai zainab
qaid mein jaa ke aayi hai zainab
apna waada nibhayi hai zainab
maa ko sab kuch sunaungi jaa kar
ab watan jaa rahi...
sar e bazaar phir ke aayi hoon
bhare darbar jaa ke aayi hoon
sabr ki inteha dikhayi hoon
maa ko sab kuch sunaungi jaa kar
ab watan jaa rahi...
maqtal e karbala ka har manzar
naqsh hai haye mere seene par
kaise maara gaya mera akbar
maa ko sab kuch sunaungi jaa kar
ab watan jaa rahi...
maa ki turbat pe pehle jaaungi
saari roodad e gham sunaungi
neel baazu ke bhi dikhaungi
maa ko sab kuch sunaungi jaa kar
ab watan jaa rahi...
hogi bas intezar mein sughra
bolo bhaiya usay kahun kya kya
dil bahot beqaraar hai mera
maa ko sab kuch sunaungi jaa kar
ab watan jaa rahi...
ro rahe thay kaleem ahle aza
aa rahi thi sada e wavaila
bain karti thi saani e zehra
maa ko sab kuch sunaungi jaa kar
ab watan jaa rahi...