Kanz e Aza

Faatahe Karbobala

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Qaiser Kaleem. Lyrics in Roman Urdu.

faatahe karbobala ay sibte paighambar hussain

tu binaye la ilaah ay sibte paighambar hussain


tu wiqar e hashmi hai deen ke sarwar hussain

deen e haq ke waaste tu aahni paykar hussain

raah e haq mein kar diya qurban apna ghar hussain

faatahe karbobala…


karbala ka maareka wo kaarnama hai tera

bacha bacha aalam e islam ka tujhpar fida

tere gham mein ro rahe hai aaj tak ahle aza

faatahe karbobala…


quwate baazu e hyder fatema ke noore ain

naazishe kauno makan tu hai imame mashraqain

aalam e islam par ehsan hai tera hussain

faatahe karbobala…


millate haqqa ka beda ghark hojata magar

quwate baatil ke aage hogaya seena sipar

marzi e khaaliq pe tune de diya sajde mein sar

faatahe karbobala…


tere dam se hashr tak khayam hai deene mustufa

tere qurbani se hai deene mohamed ki baqa

ambiya hairat zada hai tujhpe nazaan hai khuda

faatahe karbobala…


jab giray ghode se akbar khaake seene par sina

paane waahid mein hua ek khoon ka darya rawan

garm reti par tadapkar margaya kadiyal jawan

faatahe karbobala…


qasim e naushah ka pamaal laasha hogaya

umme farwa ka kaleja tukde tukde hogaya

zindagi bhar ke liye kubra ko randsala mila

faatahe karbobala…


teer khakar baap ke haaton pe tadpa sheerkhaar

haye is sadme se maa ka hogaya seena figaar

is anokhe zulm par insaniyat hai soghwaar

faatahe karbobala…


chal base dunya se abbas e alamdare hussain

aur bahattar ay kaleem as'hab o ansar e hussain

surk roohe do jahan mein aaj sarkare hussain

faatahe karbobala…