ibne hassan ka laasha pamaal hogaya hai
tukde uthane ran mein shabbir ki abaa hai
allah kis ghazab ka ye saneha hua hai
mazloom e karbala ka dil khoon ro raha hai
ibne hassan ka laasha...
sehra mein har taraf se awaaz aa rahi hai
kubra suhaag tera mitti mein mil gaya hai
ibne hassan ka laasha...
maara gaya bhatija bewa hui bhatiji
abbas ka kaleja is gham se phat raha hai
ibne hassan ka laasha...
qaimon mein bibiyon ke hosh o hawaas gum hai
bewa ka laal qasim dunya se chal basa hai
ibne hassan ka laasha...
shabbir sar jhukaye mayyat ko laa rahe hai
dil mein gham o alam ka toofan uth raha hai
ibne hassan ka laasha...
fizza pukari jao dulhan ko leke aao
naushaah ka janaza qaime mein aa raha hai
ibne hassan ka laasha...
zainab ke dil ki dhadkan badti hi jaa rahi hai
bhai hassan ka dilbar aankhon mein phir raha hai
ibne hassan ka laasha...
shadi kaleem aisi dekhi nahi jahan mein
majma baratiyon ka aansu baha raha hai
ibne hassan ka laasha...