Aye Shabbar(a.s) ki Jaan Aye Farwa(s.a) ke chaand Noushahe Karbala
Mai Tere khurbaan Aye Ammu ki shaan Noushahe Karbala
1. Tum jo karte ho talab mujhse izne wegha
mai kaise du'n tumko izn mere beta
tum ho nishaani, mere bhai ki Noushahe Karbala
2. Phir laaya Qasim(a.s) ne Taweez baba ki
usme ye likhi thi tahreer baba ki
meri taraf se, hoga fidya Noushahe Karbala
3. Padhte hi khat to Shabbir roye
Bole Qasim ko gale se lagaake
hai izn tumko, jao maidaa'n ko Noushahe Karbala
4. Ibne Hassan(a.s) jo chla madar ko chordh kar
Kubra(s.a) ye kehti thi Qasim(a.s) se ro ro kar
Jaate ho kyunkar, mujhko chordkar Noushahe Karbala
5. Maidaa'n me Jaakar shabbar(a.s) ke bete ne
Azraq ko maarkar shabbar(a.s) ke bete ne
Kaha ke chacha, pyaasa hai bada Noushahe Karbala
6. Ladta kaha'n tak bhala Noushahe Karbala
Pyaasa kayi din ka tha Noushahe Karbala
lagte hi khanjar, aaya zamee'n par Noushahe Karbala
7. Girne lage jab Qasim(a.s) dekha chacha ko
Salaame Aakhir kiya apna chacha ko
Haider(a.s) ka jamaal, hogaya Pamaal Noushahe Karbala
Kalaam : Meer Kumail Ali