Momino aaj Ali(a.s) ka Maatam hai
Haaye shere khuda ka maatam hai
1. Khaak udhate hain jibraeel e Ameen
Haaye Mushkil Kusha ka Maatam hai
2. Pursa lene ko aayi'n hai Zainab(s.a)
Aaj inke pidar ka Maatam hai
3. Magz tak shaq hua sar e Haider@
Gurbat e Murtaza@ ka Maatam hai
4. Ro rahe hain rasool turbat mein
Aaj inke Wasi ka Maatam hai
5. Keh rahe hain Hussain@ Ghazi se
Apne Baba Ali@ ka maatam hai
6. Hai khuda sogwaar is gham me
Haaye rab ke wali ka Maatam hai
7. Haaye ghamgeen hai khuda ka ghar
Aaj iske makee'n ka maatam hai
8. Khoon rote hain
Meer
pathar bhi
Malik e do jahaa'n ka maatam hai
9. Mehwe Maatam hai
Asghari
waale
Aaj moula Ali@ ka maatam hai
Kalaam : Meer Kumail Ali