Inkaar Aasmaa'n ko hai raazi zamee'n nahi
Asghar(a.s) tumhaare khoo'n ka thikaana kahi'n nahi
1. Paani ke maange pa mila teere hurmala
hatho'n pa mere laal ka zaqmi hua gala
besheer munqalib hua sambhla gaya nahi'n
2. Hatho'n me khoon leke ye bole shahe huda
Asghar(a.s) tumhaare khoon ko rakhu'n mai kis jagah
Mazloom Aap jaisa koi bhi mila nahi'n
3. Zaqmi ruqe sagheer main kaise dikhaau'n ga
Bano ko teri laash main kaise batau'n ga
Asghar(a.s) ka gham hai maa se sambha payega nahi'n
4. Dafna ke sheer khwaar ko rone lage imaam
Qabre sagheer hogai aansu'n se tar tamaam
marqad pe daalne ko bhi paani mila nahi'n
5. Naiza chubhote qaak me nikla jo hurmala
Naize ke saath lasha e Asghar(a.s) bhi aagaya
Hone ke baad dafn koi sar diya nahi'n
6. Asghar(a.s) tumhaare waaste roti hai har kali
Maatam ko
Mirza
aaye jawaanaan e
Asghari
Cheh Maah ka Imaam koi bhi mila nahi'n
Kalaam : Mirza Hassan Ali Baig