Jaate Hai Ran Ko Akber A.S Kohraam Mach Gaya Hai.
Baichain Umme Laila (asws) Aur Binte Fatima (asws) Hai
Shabbir A.S Ka Ye Beta Marne Ko Ja Raha Hai
1. Hai Beqaraar Sugra Ayenege Lene Bhayya
Ho Tere Sar Pe Sehra,Armaa'n Hai Mere Bhayya
Akbar Ki Yaad Me Hi Wo Gham Me Mubtela Hai
2.Izne Weqa Jo Paya Zainab Se Aur Maa Se
Shabbir Sar Jhukaye Kahte the Noujawa Se
Kitna Ghareeb Dekho Aik Baap Hogya Hai
3.Seene Pa Barchi Khaakar Akber Gire Zamee'n Par
Beta Pukaro Mujhko Kahte the Ran Mai Sarwar
Girte Hai Dhondte Hai Na Koi Aasra Hai
4.Abbas Ki Judaee Phir Ghum Mila Ye Kaisa
Sab Margaye Hai Mere Mai Hogaya Hoo Tanha
Maqtal Mai Ab Akela Shabbir Hogaya Hai
5.Wiraan Hogaya Hai Akber Ke Baad Ye Ghar
Zainab Ko Ghush Hai Taari Aur Ro Rahe Hai Sarwar
Maa Baap Ke Liye Ye Kya Saqt Marhala Hai
6.Sarwar Ke Ladle Ka Karna Hai Humko Matam
Ammar Asghari Bhi Girya Kuna Hai Paiham
Kadyal Jawaa'n Ka Lasha qaime Me Araha Hai
Kalaam :Askari Hussain(Ammar)