Kanz e Aza

Karti Hai Bayan

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Hilal Mirza. Lyrics in Roman Urdu.

karti hai bayaan umme laila

ay laal ali akbar ho kahan

sadme se jigar phat'ta hai mera

ay laal ali akbar ho kahan


wo zakhm laga tujhko dilbar

seene se nazar aata hai jigar

chalta hai mere dil par bhaala

ay laal ali akbar ho kahan

karti hai bayan...


armaano ki basti khaak hui

tasveer e tamanna chaak hui

khwabon ka tasalsul toot gaya

ay laal ali akbar ho kahan

karti hai bayan...


hamraah nahi koi is dam

behaal hai gham se shaahe umam

aankhon mein andhera hai chaaya

ay laal ali akbar ho kahan

karti hai bayan...


dekho to qayamat ka manzar

hai sheh ka gala zere khanjar

hai shimr e layeen seene pe chada

ay laal ali akbar ho kahan

karti hai bayan...


kurta bhi hai saara khoon mein tar

aur cheene gaye kano se gohar

dekho to behan ka haal zara

ay laal ali akbar ho kahan

karti hai bayan...


asbaab bhi saare lut'te hai

qaime bhi hamare jalte hai

chinti hai hamare sar se rida

ay laal ali akbar ho kahan

karti hai bayan...


kin aankhon se dekhun ye manzar

hai noke sina par tera sar

be gor o kafan laasha hai pada

ay laal ali akbar ho kahan

karti hai bayan...


har lamha hai aazaron mein

hai ahle haram bazaron mein

hamdard koi baakhi na raha

ay laal ali akbar ho kahan

karti hai bayan...


dil se na gaya akbar ka khayaal

aur maa ka tha aalam ye hilal

ta umr ye lab par tha noha

ay laal ali akbar ho kahan

karti hai bayan...