Kanz e Aza

Noha Tha Sakina ka

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Hilal Mirza. Lyrics in Roman Urdu.

zindan may sakina ki hai sada aajao mere baba

noha tha sakina ka aajao mere baba


mushkil hai mera jeena aajao mere baba

noha tha sakina ka...


khoon behta hai kano se ruqsaar bhi hai neele

jalta hai mera kurta aajao mere baba

noha tha sakina ka...


har gham may musibat hai durro ki aziyat hai

ye haal hai ab mera aajao mere baba

noha tha sakina ka...


loota gaya zewar bhi cheeni gayi chadar bhi

dhaate hai sitam aada aajao mere baba

noha tha sakina ka...


jo ran ko gaya baba wapas wo nahi aaya

qaime may hai sannata aajao mere baba

noha tha sakina ka...


seene pa sina khaaye akbar bhi gaye maare

pamaal hua dulha aajao mere baba

noha tha sakina ka...


jalte hai sabhi qaime faryad kare kis se

ab kaun bachayega aajao mere baba

noha tha sakina ka...


neendh aayegi ab kyunkar soyegi kahan dukhtar

yaad aayega wo seena aajao mere baba

noha tha sakina ka...


chadar bhi nahi sar par le jaate hai wo dar dar

hai qaid may wo kunba aajao mere baba

noha tha sakina ka...


kehdije hilal us ja ek shor tha girya tha

jab kehti thi wo dukhya aajao mere baba

noha tha sakina ka...