logon madina rehne ke khaabil nahi raha
sar peet kar basheer kehta hua chala
rote huwe basheer ne elaan ye kiya
maare gaye hussain payambar ka ghar luta
qaidi banaya aale mohamed ko bekhata
wapas watan ko aaye hai bemaare karbala
logon madina rehne...
sar peetkar basheer...
bedast nehr par huwe abbas e bawafa
naiza shabiye ahmed-e-mukhtaar ko laga
baysheer ke galay pe bhi teere sitam laga
pamaal ran mein qasime naushaah ho gaya
logon madina rehne...
sar peetkar basheer...
jee bhar ke zaalimo ne sataya hussain ko
pyasa kiya shaheed shahe mashraqain ko
pani diya na fatema ke noor-e-ain ko
pyase galay pa shimr ne khanjar chala diya
logon madina rehne...
sar peetkar basheer...
shaam e ghariban ek qayamat hui bapa
asbaab saara loot liya ghar bhi jala diya
cheeni hai sar se zainab-o-kulsoom ki rida
aale nabi ko qaid kiya wa musibata
logon madina rehne...
sar peetkar basheer...
qaidi banaya zainab-e-muztar ko al-amaan
aur be-kajawa oonton pe thi saari bibiyan
pehne huwe thay sayyede sajjad bediyan
ahle haram ka khaafla bazaar mein gaya
logon madina rehne...
sar peetkar basheer...
qabre rasool hil gayi zainab ne jab kaha
nana teri nawasi ke sar par na thi rida
darbar e shaam mein hamein leja ke bekhata
ummat ne khoob ajre risaalat ada kiya
logon madina rehne...
sar peetkar basheer...
maqbool ho hilal aur rehan ki dua
naslon mein apne baakhi rahe gham hussain ka
deti rahe duayein hamein binte mustafa
saaman ho ye hashr mein apni nijaat ka
logon madina rehne...
sar peetkar basheer...