Kanz e Aza

Sughra Sughra

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

khafila aagaya


jab shaam se chut kar aaye haram

thay mehwe buka ba-deeda e nam

in ujde huwe logon ke khareeb

jab pahunchi binte shaahe umam

ek ek chehre ko takti thi

aur karti thi bemaar fughan

akbar hai kahan asghar hai kahan

ammu hai kahan baba hai kahan sajjad kahan

sughra se sun kar naam apna

sajjad ye ro kar kehne laga


sughra sughra pardes mein ghar barbaad hua

balon ki safedi dekh zara

sadmon se mera ye haal hua

sughra sughra...


sughra mai bataun kya tujhko

kya beet gayi maqtal jaa kar

ashoor ka suraj le aaya

zainab ke ujad jaane ki khabar

abbas aur akbar na rahe

ek din mein sabhi ko aayi qaza

sughra sughra...


talwaar meri roti hi rahi

mai baap ki nusrat kar na saka

maqtal se uthi halmin ki sada

jhoole se gaya baysheer tera

ek teer laga bejaan hua

maqtal se ye di baba ne sada

sughra sughra...


akbar ke kaleje se barchi

jis waqt shahe deen ne khaynchi

tu apna muqaddar dekh zara

us waqt mili tehreer teri

akbar ko dekha ro diye

tehreer ko dekha aur ye kaha

sughra sughra...


ay sughra tere ammu ki qasam

jab tak tha fiza mein unka alam

phupiyon ke saron pe chadar thi

lachaar nahi thay ahle haram

reti pe gira jis waqt alam

besaakhta dil ne nauha kiya

sughra sughra...


behaal thay sadmon se baba

uth'te thay kabhi gir jaate thay

ek laash utha kar laate thay

ek laash uthane jaate thay

kabhi qasim ke tukde laaye

kabhi aun o mohamed ka laasha

sughra sughra...


phir asr ka wo hangaam utha

marne ko chala jab baba tera

nau laakh ka lashkar tha sughra

aur tanha khade thay shaahe huda

baba ki shahadat kaise hui

mai tujhko nahi batla sakta

sughra sughra...


phir shaam ghareebon ki aayi

maqtal mein andhere chaane lage

maqtal ke andheron mein zaalim

qaimon ko jalaane aane lage

durr cheene gaye aur chadarein

zehra ka chaman taraaj hua

sughra sughra...


bazaar gaye darbaar gaye

ye gham jeete ji maar gaye

zindan mein sakina jab bichdi

hum log bhi himmat haar gaye

ro ro ke haram ye kehte thay

ab kaisi rehaai kya jeena

sughra sughra...


mazhar ye bayan aasaan nahi

farhan ke aansu behne lage

ghash khaane lagi sughra sun kar

sajjad bhi ro kar kehne lage

mar jaati sughra tu sun kar

as-shaam agar samjha deta

sughra sughra...