utha kohraam ghar mein fatema ke
chali hai taygh sar par murtaza ke
tadapti hai ali ki betiyan sab
uda kar khaak ye kehti hai zainab
mere ghar aagaye phir din aza ke
utha kohraam...
ali ko ghar mein jab hasnain laaye
pukari zainab o kulsoom haye
ghashi taari hui ye gham utha ke
utha kohraam...
na jaaye chod ke yun hum ko baba
abhi to maa ka gham hai dil mein taaza
ke hai mohtaaj zakhme dil dawa ke
utha kohraam...
ali karne lage ro kar wasiyat
bula kar paas bacchon ko ba-riqqat
hawale hai ye ghar ab mujtaba ke
utha kohraam...
raha na dard se jab dil pe qaabu
ali ne choom kar zainab ke baazu
hawale kar diya sher e wafa ke
utha kohraam...
chala jab ghar se maula ka janaza
lab e zainab pe tha bas ek nauha
nigahon mein hai manzar karbala ke
utha kohraam...
sukoon zainab ko ek pal na aaya
ali ka zakhm behno ko dikhaya
jabeen se khoon baba ka hata ke
utha kohraam...
bayan kya safdar o mazhar karenge
wo manzar kaise lafzon mein likhenge
qalam jab ruk gaya aansu baha ke
utha kohraam...