dam e ruqsat tha yehi nauha labe zehra par
jo huwe mujhpe sitam baade padar
ya ali aap gawahi dena
mera kis tarha jalaya gaya ghar
ya ali aap gawahi dena
mere pehlu pe jo darwaza gira
mujhko bacchon ne tadapte dekha
zakhmi pehlu se lahoo behta raha
mera mohsin bhi hua mujhse juda
bain jarte hai mere zakhm e jigar
ya ali aap gawahi dena...
apni aankhon se qayamat dekhi
yani darbar e sitam ki peshi
apna haq lene ki khaatir maine
us ko dikhlayi sanad baba ki
mujhko jhutlaata raha wo has kar
ya ali aap gawahi dena...
tazkira kya ho namaze shab ka
kar saki mai na ruku aur sajda
zakhm pehlu ka chupa kar tumse
uth ke raaton ko mai karti thi buka
meri ghurbat pa ba-roz e mehshar
ya ali aap gawahi dena...
jisko siddiqa kahan tha rab ne
usko jhutla ke layeen haste rahe
chaar sau kursi nasheen baithe rahe
mai khadi roti rahi dil thaame
kaisi badli hai zamane ki nazar
ya ali aap gawahi dena...
mere mohsin ki shahadat ka ye gham
hai mere dil ki aziyyat paiham
kya khata thi mere bacche ki bhala
qabr tak jayenge ye ranj o alam
taaziyat ko bhi aaya na koi ghar
ya ali aap gawahi dena...
hai faqat ek wasiyat ye meri
tum mujhe ghusl o kafan dena ali
tum janaze ko uthaana shab mein
meri marqad bhi na dekhe koi
kaise dunya se kiya maine safar
ya ali aap gawahi dena...
hai ghazab safdar o mazhar ye bayan
khoon hai chashme qalam se bhi rawan
qabre zehra ki thi chalees jagah
sun ke rote thay ali bas ye fughan
ta dame marg raha darde jigar
ya ali aap gawahi dena...