Kanz e Aza

Ya Fatema

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

tum ne humko na bhulaya

hum ne tumko na bhulaya

ya fatema salamullah alaiha


tujhpe shehzadi e kaunain meri jaan fida

kya mila tujhko zamane se masayib ke siwa

baad paighambar e islam hui aur jafa

cheeni jageer e fidak baap ka virsa na diya

tujhko jhuthlaya gaya kitna tadpaya gaya

haye afsos mohamed ka chaman loot liya

ya fatema salamullah alaiha...


wo jo rehte thay shifa’at ke talabgaar sabhi

aa gaye ghar ko jalane wo sitamgaar sabhi

tune aayaat suna di sar e darbar sabhi

phir bhi jhutlaate rahe tujhko gunehgaar sabhi

tune jab nauha kiya has diye ahl e jafa

aur quran ki aayat ne ye bain kiya

ya fatema salamullah alaiha...


phasliyan toot gayi jalta hua dar jo gira

aur mohsin ki shahadat ka tujhe dard mila

roye is baat pe hyder jo tujhe ghusl diya

ta dame marg tera haath na pehlu se hata

kyun chupaya tha bhala tune ye zakhme jafa

mai tere baad isi baat pe hoo mehve buka

ya fatema salamullah alaiha...


maa chali jaye to lagta hai khuda rooth gaya

sayeban koi nahi dunya may maadar se bada

meri bibi teri mayyat pe ye beton ne kaha

neend raaton ki gayi aap ka saaya jo utha

humko tadpao nahi chod ke jao nahi

ab kahan payenge hum aap ke anchal ki hawa

ya fatema salamullah alaiha...


mai tere naam ki tasbeeh jo padta hoo kabhi

khoon rulati hai mujhe teri musibat bibi

wo ibadat wo musalle pe teri nauha gari

haath ek pehlu pe ek haath se tasbeeh padi

wo ruku aur sujood teri gurbat pe durood

is aziyat may namazein na hui teri qaza

ya fatema salamullah alaiha...


ek pal ko bhi tere gham ko na mai bhool saka

teri marqad ka suna phir mai baqayya pahuncha

wo udaasi wo andhera wo sitamgaar fiza

haye marqad ki alamat ko bhi rehne na diya

rauza ban jaye tera ye hai armaan mera

phir wahan jaaye ziyarat ko sabhi ahle aza

ya fatema salamullah alaiha...