yabna zahra o ali jaane nabi
hussain hussain hussain
ye qabeela hai hussain o hassani
hai azadaar muqaddar ke dhani
karbalayi najafi o madani
har azadaar fida tum pe hussain
mera ghar baar fida tum pe hussain
saara sansaar fida tum pe hussain
ya sayyedi ya murshidi ya hussain
maula ye taboot o alam jhoola amaari
seena zani ashk e aza girya o zaari
teri badolat hai ye meeras hamari
hai teri meeras hamay jaan se pyari
chauda sadiyon se teri yaad mein hum
ghar mein har saal sajaate hai alam
silsila jaari hai ye teri qasam
ya sayyedi ya murshidi...
dete hai aulaad ko taaleem yehi hum
karte raho shaam o sehar majlis o matam
dil se mita do ye zamane ke sabhi gham
nauha rahe lab pe sada aankh rahe nam
nasl dar nasl chalegi ye aza
kyun ke hai fatema zahra ki dua
kaise ruk jaaye ye matam ki sada
ya sayyedi ya murshidi...
khoon ka rishta hai tere gham se hamara
kyun na kare pesh tujhe khoon ka pursa
teri aza se hi mila hai ye aqeeda
farshe aza ko bhi samajhte hai musalla
nauhakhwani hai aqeedat ki azaan
hum nahi bhoole tera koi bayan
jo diye tune sar e nok e sina
ya sayyedi ya murshidi...
sab tere naukar hai azadaar hussain
bas tere matam ke talabgaar hussain
tere gharane ke wafadaar hussain
hussain hussain hussain hussain
ay kareem e karbala ay badshaah e do jahan
tere matam ki sada jaaye zameen ta aasman
hai jahan farshe aza tere azadaar wahan
tere hal min ki sada sunke kaha hum ne yahan
abad walla ya zahra maaninsa hussaina
hussain hussain hussain hussain
hum na bhoolenge tere gham ko shahe karbobala
hum uthayenge alam laakh mukhalif ho hawa
khushk honge na kabhi aankh se ye ashk e aza
farshe majlis pe ye zehra se kahenge bakhuda
abad walla ya zahra maaninsa hussaina
hussain hussain hussain hussain
bekasi o yaas pe royenge azadaar
dard ke ehsaas pe royenge azadaar
maula teri pyaas pe royenge azadaar
akbar o abbas pe royenge azadaar
bhool sakte nahi ashoor ka gham
be kafan laash sar e dashte sitam
jalte qaimon ka dhuaan aur haram
ya sayyedi ya murshidi...
sayyed e sajjad ka zainab ka jigar tha
baad tere shaam ki jaanib jo safar tha
chaaron taraf majma e aghyaar udhar tha
mimbar e naiza pe idhar bhai ka sar
bediyan pehne huwe koi chala
kisi masoom ka rassi mein gala
thi aseeron ki buka wavaila
ya sayyedi ya murshidi...
karte hai tajdeed e wafa safdar o mazhar
roz naya nauha tere gham mein bana kar
sadqe sakina ke hamay maula ata kar
arz ye afkaar hai qirtaas o qalam par
jab talak saans kare hum se wafa
hum kare maula tere gham se wafa
tere matam tere parcham se wafa
ya sayyedi ya murshidi...