Kanz e Aza

Ye Hai Alam

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi (2022). Lyrics in Roman Urdu.

ay logon aao tumko bataun

rehmat e baari tumko dikhaun

saare jahan ka hai ek sahara

ye jo alam mere ghar pe laga hai

ye hai alam abbas ka

ye hai alam abbas ka


gham se nikaale mushkilein taale

kaisa waseela rab ne diya

ye hai alam abbas ka


hum ne alam jab ghar may sajaya

ghar may rakhe zehra ne qadam

door huwe sab ranj o masayib

phir kaisi mushkil kaisa gham

daste karam hai sheh ka bharam hai

jiska koi saani na mila

ye hai alam...


ye jo bandhi hai mashk e sakina

isko kaho taweez e wafa

rishta bhatiji aur chacha ka

aaj talak na toot saka

ek kahani iski zabani

sunlo agar sunte ho sada

ye hai alam...


dekho alam ka surkh pharera

chadar e zainab se hai bana

jo bhi alam ke saaye may aaya

dunya ke sab gham bhool gaya

ab jaake maana saara zamana

saaya figan ghar ghar pe hua

ye hai alam...


aisa alam dunya may dikhao

jiski ataa ho rab ki ataa

shaan e azadari ye alam hai

dekho azakhano may zara

mannatein poori karta hai sab ki

zinda hai iske dam se wafa

ye hai alam...


hamza o jafar ka ye alam hai

hai ye alam hyder ka alam

denge gawahi shaah e zaman bhi

hai ye mere lashkar ka alam

baarwa hyder kaabe ki chath par

lehra ke isko dega sada

ye hai alam...


qatl hua jab darya pe ghazi

toot gayi maula ki kamar

laasha nahi sheh laaye jari ka

laaye alam hi khoon may tar

beti se bole shabbir ro ke

aaye nahi darya se chacha

ye hai alam...


karbobala ke dasht ka manzar

kaise likhun rota hai qalam

baad e jari aulaad e payambar

nauha kuna thi zer e alam

baali sakina karti thi nauha

saaye may iske aaye qaza

ye hai alam...


panja alam ka mesum o mazhar

daste karam abbas ka hai

paal raha hai saare jahan ko

ye bhi hasham abbas ka hai

jisne jo maanga usne wo paaya

phir to zamane ko kehna pada

ye hai alam...