alamdar alamdar
maula maula maula alamdar
sar taapa wafa hai ye
sheron mein bala hai ye
hyder ki sada hai abbas
jauhar wo dikha dega
baatil ko mita dega
toofan bhi utha de abbas
ye hai mera abbas
salaari alamdar
sardari alamdar
jarrari alamdar
karrari alamdar
alamdar maula alamdar
alamdar maula alamdar
maula maula maula alamdar
maula maula maula alamdar
abbas ki hai is liye dunya ye deewani
abbas ke hai khoon mein hyder ki jawani
abbas dua e dil e zehra ki nishani
abbas pe hasnain ke jazbon ki rawani
lagta hai ali aagaye dunya mein dubara
ye hai mera abbas
salaari alamdar
sardari alamdar
jarrari alamdar
karrari alamdar
alamdar maula alamdar
alamdar maula alamdar
ya maula abal fazlil abbas
alamdar alamdar alamdar
dekha na jahan waalon ne is shaan ka ghazi
ye legaya dunya ke dileron se bhi baazi
karte hai salaam iski ibadat ko namazi
kya kam hai ye rutba ke hussain is se hai raazi
wo sher e jari hai jo kise se nahi haara
ye hai mera abbas
salaari alamdar
sardari alamdar
jarrari alamdar
karrari alamdar
alamdar maula alamdar
alamdar maula alamdar
maula maula maula alamdar
maula maula maula alamdar
hai kaun jo har tarha mukammal nazar aaye
hai kaun jo har rishta e ehsaas nibhaye
hai kaun jo maqtal ko wafaon se sajaye
kiska hai alam jiske hai phaile huwe saaye
baazu bhi nahi phir bhi hai dunya ka sahara
ye hai mera abbas
salaari alamdar
sardari alamdar
jarrari alamdar
karrari alamdar
alamdar maula alamdar
alamdar maula alamdar
ya maula abal fazlil abbas
alamdar alamdar alamdar
jab ghere tha abbas ko wo lashkar e keena
abbas ke seene mein dhadakti thi sakina
seene pe kabhi mashk kabhi mashk pe seena
jab pani hi beh jaaye to phir kaahe ka jeena
ab zinda palatna nahi ghazi ko gawara
ye hai mera abbas
salaari alamdar
sardari alamdar
jarrari alamdar
karrari alamdar
maula maula maula alamdar
maula maula maula alamdar
ye hai mera abbas