Kanz e Aza

Ye roke boli sakina chacha chale aao

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Yeh Ro Kay Boli Sakina (Sa) Chacha Chale Aao Hai Chane Wala Andhera Chacha Chale Aao

Adu Ne Aag Lagi Di Hamare Khaimon Main Hai Shola Khaimon Se Uthta Chacha Chale Aao

Nikale Kis Tarah Bhaiyya Ko Jalte Khaimon Se Phuphi Ka Bus Nahi Chalta Chacha Chale Aao

Zameen E Garm Peh Uryan Hai Lash Baba Ki Uthane Un Ka Janaza Chacha Chale Aao

Hamare Sar Se Laeeno Ne Cheen Li Chadar Alam Ka Le Kay Pharaira Chacha Chalo Aao

Dekha Kay Shimr Bahata Hai Mashk Se Pani Magar Mujhe Nahi Deta Chacha Chale Aao