Zainab Ki Sada Thi Mere Bhai Mere Abbas
Tum Margaye Mai Ho Gaye Pardes Me Be-Aas
Aada Ne Dagha-Bazi Se Kate Tere Shane
Jo Guzri Hai Tuj Par Mere Bhayya Tuhi Jane
Battiswa Ye Saal Tujhe Aaya Nahi Raas
Shabbir Pe Kya Aalame Tanhayi Hai Chayi
Ab Tere Alam Me Na Jiyega Mera Bhai
Majaya Mera Hathon Ko Malta Hai Basat-Yas
Dekho Mere Bhai Pe Ye Uftad Nayi Hai
Yun Lagta Hai Jaise Ke Kamar Toot Gayi Hai
Darya Ki Taraf Dekhte Hai Shah Basat-Yas
Qabza Kiya Darya Pa Magar Tu Raha Pyasa
Har Lamha Huwa Pyas Ki Shiddat Me Izaafa
Har Aan Nigahon Me Sakina Ki Rahi Pyas
Ab Kaun Yaha Pouchne Wala Hai Hamara
Ghar Loot Gaya Baqi Na-raha Koi Sahara
Marne Se Tere Ahle Haram Hogaye Be-Aas
Ab Tum Jo Nahi Ho Meri Chin Jayegi Chadar
Jane Hi Padega Mujhe Balwe Me Khule Sar
Zainab Ko Teri Aati Reh-Reh Ke Ye Was-Waas
Pani Na Raha Qaima-e-Shabbir Me Jis Dam
Har Ek Ke Hotoun Pe Tera Naam Tha Paiham
Reh Reh Ke Sadaye Tujhe Deti Thi Har Ek Pyas
Dekho Mera Kya Haal Kiya Ahlef-Jafa Ne
Kya Dekh Sakege Mere Jakde Huwe Shane
Har Lamha Aisiri Ka Badh Jata Hai Ahsas
Bechain Hai Pani Liye Shaha Ki Dukhtar
Nannisi Zuba Munhse Nikal Ayi Hai Bahar
Main Kaise Bujaoungi Sakina Ki Bhala Pyas
Har Simt Tera Gham Tere Matam Ki Sada Hai
Moula Tera Ahsan Ki Faqat Ek Dua Hai
Bas Aakhri Sasoun Me Rahe Tu Bhi Mere Paas