AAO ABBAS MADAD KARNE KO AAO BHAYYA
GIRTE HI QAKH PA GHOODE SE HUSSAIN IBNE ALI
ARSH TARRANE LAGA AUR ZAMI HILNE LAGI
ZAQMI HATHOUN SE KAMAR THAM KE FARZANDE NABI
HAYE DARYA KI TARAF DEKH KE KHETE THE YAHI AAO
ABBAS MADAD KARNE KO AAO BHAYYA
TANHA MAQTAL ME HOON FOUJHO KO HATAO BHAYYA
Tum Ko Akber Ke Janaze Pe Bahut Yaad Kiya Aur Asghar Ke Bhi Lashe Pe Bahut Yaad Kiya
Bin Tumhare Mai jeeyu Kaise Batao Bhayya
Teri Furqat Me Mere Qalb-o-Jigar Zaqmi Hai
Pau Zaqmi Hai Kamar Zaqmi Hai Sar Zaqmi Hai
Garm Rheti Se Muhje Aake Uthao Bhayya
Tum Nahi Ho Tho Mujhe Khoon Rulate Hai Aadu
Zaqm Jis-Jaa Hai Wahi Teq Lagate Hai Aadu
Zalimo Se Mujhe Ab Aake Chudao Bhayya
Dene Taklif Mujhe Dushamn-e-Deen Bhaitha Hai
Zaqmi Seene Pa Mere Shirm-e-Laien Bhaitha Hai
Aake Seene Se Sitamgar Ko Hatao Bhayya
Apne Zaanu Se Mera Seena Dabata Hai Laien
Qundh Qanjar Meri Gardan Pa Chalata Hai Laien
Zibha Hota HU Mai Ab Aake Bachao Bahyya
Do-Jahan Larza Hai Parvaz Ye Wo Manzil Hai
Kya Likha Jaye Ke Aage Ka Bayan Mushkil Hai
Wqat –e-Aqir bhi Labe Shahe Pe Tha Aao Abbas