ABBAS KAHAN HO ABBAS KAHAN HO
Tum Sun Ke Meri Jaan Qabar Lene Na Aaye
Haye Zalim Ne Rida Chini Aur Koda bhi Lagaye
Bin Bhai Tere Margayi Hyder Ki Dulari
Haye Bin Baap Ke Bhi Ho Gayi Wo Jaan Se Pyari
Ek Aap Nahi Qasim-o-Akber Bhi Sidare
Haye Maqtal Me Sada Ke Liye Sote Hai Wo Pyare
Ek Zulm Nahi Lakh Sitam Hum Pa Huwe Hai
Haye Bimar-e-Gham Bhi Apke Kaanto pa Chale Hai
*
Zinda Me Gayi Sham Ki Mehmaan Sakina
Haye Ghut-Ghut Ke Wahan Margayi Nadan Sakina
Iqbal Gham-e-Shaha Mai Zainab Ka Tadapna
Haye Yaad Aata Hai Yasrab Se Wo Zainab Ka Nikalna