Kanz e Aza

Abbas Kahan Ho

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

sar kat gaya jab dasht may zehra ke pisar ka

hilti thi zameen kaampta tha arshe moalla

surkh aandhi chali khoon ugalne laga sehra

wehshat ka ye aalam tha ke hilta tha kaleja

thi ek qayamat sar e maqtal jo bapa thi

goonji hui sehra may faqad ek sada thi

abbas kahan ho aajao jahan ho


seene pa sina kha chuke akbar gaye maare

khaali hua jhoola ali asghar gaye maare

tanha hui saydaniya sarwar gaye maare

zainab hai pareshan chale aao jahan ho

abbas kahan ho....


namoose payambar ko badi aas thi tum se

kya aisi bhala bhai khata hogayi hum se

phat jaye kaleja kahin zainab ka na gham se

kyon roothay ho kis waaste nazro se niha ho

abbas kahan ho....


is dashte musibat may kahan kho gaye bhai

naize ki ani aayaye tatheer tak aayi

aajao zara chorke darya ki taraai

chaadar sare zainab se utarti hai kahan ho

abbas kahan ho....


ye ahle sitam aur qayamat na machade

sab loot ke asbab e haram aag lagade

darr hai kahin bemaar ka qaima na jalade

phir char taraf sirf dhuan sirf dhuan ho

abbas kahan ho....


dhaane pa sitam aur sitamgar tulay hai

talware liye sab dare qaima pa khade hai

mardo may fakad abid e bemaar bache hai

khanjar kahin abid ke galay par na rawan ho

abbas kahan ho....


bacha koi rota hai udhar taapo may aake

bachi koi roti hai idhar khaake tamache

laa'un to bhala laa'un zuban aisi kahan se

alfaaz nahi haal jo bachon ka bayan ho

abbas kahan ho....