thi haram ki ye sada abbas ke hote huwe
kaun cheenega rida abbas ke hote huwe
tashnagi be aab sehraon ki wehshat kuch nahi
dushmanane deene paighambar ki kasrat kuch nahi
khanjaron teeron ki talwaron ki taaqat kuch nahi
gham bhala kis baat ka abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...
kaamp uthegi faza us sher ki lalkaar se
taygh kya shamsheer kya bas abruon ke waar se
faujein takrayegi jaa kar shaam ki deewar se
kya karenge ashkiyan abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...
haath mein wo khushk kooze aur sada e alatash
hont neele zard chehre aur sada e alatash
saaqi e kausar ke bacche aur sada e alatash
kis ne socha tha bhala abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...
roz aayenga tere deedar ko ahle jahan
teri azmat ko salaami dega bad kar aasman
har zameen ta hashr dohrayegi teri daastan
gham na kar ay karbala abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...
mujhko sone hi nahi deti mere dil ki chuban
thay yehi waqt e wasiyat mere baba ki sukhan
ay meri zainab bandhegi tere shaano mein rasan
maan loo kaise bhala abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...
maine maana hongi faujein dushmano ki saf ba saf
ye to batlao zara beti ko ya shaah e najaf
dekhein nazron ko utha kar ashkiyan meri taraf
kaise mumkin hai bhala abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...
is bulandi par muqaddar ke sitaare dekh kar
chaaro jaanib apne athara sahare dekh kar
roz kehti thi sakina apne goshware dekh kar
kaun cheenega chacha abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...
lut gaya karbobala mein fatema zehra ka ghar
marsiya padne laga jis dam basheer e motabar
ghaiz mein ummul baneen boli asa ko thaam kar
ye sitam kyun kar hua abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...
marzi e shabbir ke akkaas ko kuch mat kaho
meri chaahat ko mere ehsaas ko kuch mat kaho
tum ko zainab ki qasam abbas ko kuch mat kaho
ghar salamat tha mera abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...
marzi e maula pe raazi hai bilal e kazmi
kehdo ay aamir namazi hai bilal e kazmi
shayar e abbas e ghazi hai bilal e kazmi
khauf mehshar ka bhala abbas ke hote huwe
thi haram ki ye sada...