ABBAS KE LASHE PA YE SHABBIR PUKARE – UTHO MERE BHAI
HUM QAIME SE YAAN AAYE HAIN LENE KO TUMHARE – UTHO MERE BHAI
Peeri ka sath chhin gaya hum hogaye be aas – Koi na raha paas
Aajao tumhi ho mere dil hi ke sahare – Utho mere bhai
Kya ye bhi koi ishq-o-mohabbat ka hai andaaz – Aye ashiqe jaanbaaz
Dariya ko to keh kar gaye kauser ko sidhare – Utho mere bhai
Tum bali Sakina ke liye laye na pani – Wo roti hai jani
Bachchi ki zubaa’n dekho aur Asgher ke ishare – Utho mere bhai
Ek yaas ka aalam hai ke tanha hoon baradar – Yuin sher-e-dilawar
Ansaar-o-aiza mere maare gaye saare – Utho mere bhai
Qurban huwe mashk pa tum jaan-e-baradar – Lekin mere safdar
Tum arsh-e-wafa ke ho chamakte huwe taare – Utho mere bhai
Dharas thi badi sabko khayal uskato karte – Ghurbat me na marte
Tum jeete magar hum bhi to himmaat nahi hare – Utho mere bhai
Chenenge rida Zainab-o-Kulsom ki ashraar – Tum ghazi-o-jarrar
Hum chhodke ab jaaye unhe kis ke sahare – Utho mere bhai
Kehte the Wazir aah ye jab Shahe Do Aalam – Ek hashr tha paiham
Tum mujhse zaeefi mein juda hogaye pyaare – Utho mere bhai