abbas ke matam daroon ko
maa zehra duayein deti hai
jo khoon ka matam karte hai
maa unki balayein leti hai
1. abbas ke percham ko logo , ta hashr uthana hai humko
ghazi ka alam hi uncha hai , duniya ko batana hai humko
parcham ke uthane walo ko
maa zehra duayein deti hai
2. wada jo kiya hai zehra se , har haal nibhana hai humko
zanjeer qama aur sina zani , karte hi jana hai humko
sab matam karne walon ko
maa zehra duayein deti hai
3. jo khoon ka matam karte hai, zehra ki duayein lete hai
han munkir-e-matam jo bhi hai , benoor fiza me rehte hai
sab khoon bahane walon ko
maa zehra duayein deti hai
5. zanjeer mein jakde abid ka zanjeer se matam karte hai
shamsheer se sheh ka qatl huwa shamsheer se matam karte hai
zanjeer lagane walon ko
maa zehra duayein deti hai
6.ye mashk o alam aur ye zariyan karbal ki yaad dilati hai
jhula bhi jala tha jungal mein us pal ki yaad dilate hai
yeh jhoola uthane walon ko
maa zehra duayein deti hai
7. hum nazr khilakar aye ghazi duniya ko yeh batlate hai
tu bhuka pyaasa qatl huwa duniya ko yaad dilate hai
langar ke lagane walon ko
maa zehra duayein deti hai
8. abbas ka nouha sunte hi zainab ne kaha yeh roro kar
sar peeti hai khatoon-e-jina abbas ka nouha sunsun kar
sab nouha padhne walon ko
maa zehra duayein deti hai
9.hai hashmi jab tak bhi zinda bas nouha kehta jayega aur nouha padhkr sabko raza khud royega rulwayega
zainab ne kaha in dono ko
maa zehra duayein deti hai