abbas margaye main alamdar bangayi
bhaiya mai dekho khafela salar bangayi
1. lasha zameene garm pe ibne ali ka hai
jalte huwe khayam mein kunba nabi ka hai
jhoola kisi ka sholon mein bistar kisi ka hai
be aas khafele ki madadgar bangayai
abbas margayie main . . . . .
2. ghazi kata ke shanao ko darya pe so gaya
hum shakle mustafa ka jigar chaak ho gaya
zehra ka laal karbobala tujh mein kho gaya
baazo bandhake jafare tayyar bangayi
abbas margayie main . . . . .
3. khurban deen par jo bahattar ke tan huwe
be parda ahle bait -e- rasool -e- zaman huwe
karbobala mein aake gharibul watan huwe
shame ghariban aayi toh karrar bangayi
abbas margayie main . . . . .
4. gauhar chine sakina ke kurta hai khun me tar
seene par sone wali tumhari hai nauha gar aur bekhawaja ounton par hai shaam ka safar
zainab ghareen kunbe ki ghamkhar bangayi
abbas margayie main . . . . .
5. hokar aseer shaam ke bazar mein gaye
abid ne raahe shaam mein sadme bade sahe
baade hussain kya kahoon kya kya sitam
huwe
har ek qadam jo manzile dushwar bangayi
abbas margayie main . . .
6. zainab ki hai zabaan par maqsad hussain ka
sar chadke ahle zulm se haq bolta raha
darbar-e-shaam zainab-e-kubra se hil gaya
dekar main qutba fatahe darbar bangayi
abbas margayie main
7. baba ko dekhti thi sakina idhar udhar
aaya jo sar hussain ka tadpi hai raat bhar
khamoush bibi hogayi roro ke raat bhar
zindaan ki bekasi jo azadar bangayi
abbas margayie main . . . .
8. ghum khaar hai azal se raza mere bhai ka
nouha jo isne likha shah-e-karbalaee ka
baqshish ka hai wasila yahi is fidaee ka
zikr-e-hussain youn mere guftaar bangayi
abbas margayie main . . .