alvida aye fatima zehra ke dilbar alvida
1. ghoonjti hai karbala mein aajtak jiski azaa
chaand se sine pe jisne zulm ki khayi sina
hum shabiye mustafa laila ke dilbar alvida
alvida aye fatima . . .
2. qasim-o-gulgoo qaba kubra ka jo dulha bana
haye jis naushah ka sara badan tukdey huwa
umme farwa ke pisar aye ibne shabbar alvida
alvida aye fatima . . .
3. aye alam bardare lashkar aye woh saqae
haram
teri azmat ke nasha hain aaj tak mashko alam
paikar-e-shaan-e-wafa shay ke baradar alvida
alvida aye fatima . . .
4. jaan dekar tune yeh islam zinda kardiya
aye hussain ibne ali aye maalike sabro raza
noor-e-chashmey murtuza jane payambar
alvida alvida aye fatima . . .
5. hai azakhano mein sadiq ek qayamat ka saman
ho rahe hain momino se ab juda shah-e-zaman
ro rahi hain aaj har ek aankh kehkar alvida
alvida aye fatima .