Kanz e Aza

Aye Bekafan Hussain gareebul watan

A noha for Imam Hussain (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

aye bekafan hussain gharibul watan hussain

1. ummat ne khoob ajr-e-risalat adaa kiyaa

pammal teri laash ko bad-e-qaza kiya

uriya badan hussain gharibul watan

hussain


2. soti thi sada laqte jigar tujhko sulakar

chakki bhi jo pisy hain to godi mein litakar

tashna dahan hussain gharibul watan

husain


3. ayi na kabhi lal tujhe dhoop mein lekar

ab tabti zamee par hain tera lasha-e-besir

aye gulbadan hussain gharibul watan

hussain


4. masroor kaam agaya giriya yeh qaber mein

aye kaash labpe ho mera nauha ye hashar

mein

aye bekafan hussain gharibul watan . . .