Kanz e Aza

Aye lal mere asghar , aye lal mere asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

aye lal mere asghar , aye lal mere asghar

dethi hai sada tum ko yeh kookh jali madar

1. woh alam-e-tanhaayi aur shah ki wo ghurbat

dekhi na gayi tum se baba ki jo thi halath

jhule se gira dala you qud ko paye nusrath

halmin ki sada sunkar


2. yeh dekh falak kaanpa tharrayi zami ran ki

pyaase teri gurbat pa sab qalq-e-quda royi

hukmein shahe wala par jab tu ne zuba pheri

sukhe huwe hoton par


3. jaatey huwe maidan ko woh lab pe hasi teri

tera woh humakna woh masoom khushi teri

woh sabr tera uss per woh tashna labi teri

rulwayegi ta mehshar


4. pyason ke liye beta ek boond nahi paani

jungle hai andhera hai har simt hai veerani

neend aayi tumhe kaise iss dasht mein aya jani

soye ho kaha jakar


5. jhula yeh tera qaali aye lal jhulati hoon

behlane ko dil apna lori bhi sunati hoon aur tujhko tasawur mein godi me sulati hoon

yaad aati hai reh reh kar