aye momino payam-e-sarwar
lega na jaane kitni yeh karvatey zamaana
chahe har ek shay ko duniya ki bhool jaana
chahe har ek shay ko duniya ki bhool jaana
ujda jo ek din mein us ghar ko yaad rakhna
aye momino payam-e-sarwar ko yaad rakhna
karbobala ke khooni manzar ko yaad rakhna
aye momino payam-e-sarwar ko yaad rakhna
1. aaghosh mein tumhari masoom koi aaye aur pyar se koi maa jhula use jhulaye
bano ki bebasi ko asghar ko yaad rakhna
aye momino payam-e-sarwar ko yaad rakhna
2. tum ko khuda dikhaye khushiyon ka har savera
khismat se jab bhi baandho apne pisar ke sehra
qasim ko yaad rakhna akbar ko yaad rakhna
aye momino payam-e-sarwar ko yaad rakhna
3. dekho na zindagi mein marna jawan pisar ka
bete ka daag dil par hota hai umr bhar ka
laila ki hasraton ko akbar ko yaad rakhna
aye momino payam-e-sarwar ko yaad rakhna
4.taqdeer se kisi par aajaaye jab yateemi
furqath mein baap ki jab marjaye koi bachi
aulad walo meri dukhtar ko yaad rakhna
aye momino payam-e-sarwar ko yaad rakhna
5. beton ko jo na royi qurbaan karke mujhpar aur sar nahi uthaya ehsaan karke mujhpar
uss jaa nisar meri qaahar ko yaad rakhna
aye momino payam-e-sarwar ko yaad rakhna
6. behno ko betiyon ko jab bhi rida udana
hum bekaso ko hargiz dil se nahi bhoolana
meri behan ke sar ki chaadar ko yaad rakhna
aye momino payam-e-sarwar ko yaad rakhna