aye momino yeh gham karo
yeh zikr hi paiham karo zehra ki dua lo
aankhon ko zara nam karo zehra ki dua lo
mazloom ka matam karo zehra ki dua lo
aye momino yeh gham karo zehra ki dua lo
mazloom ka matam karo zehra ki dua lo
1. ajati hain jannat se yaha fatima zehra
karti hain yaha milke fughan fatima zehra
hum log kahan aur kahan fatima zehra
mazloom ka matam karo zehra ki dua lo
2. yeh farsh-e-aza arsh-e- mohalla se nahi kam
yeh dil ke dhadakne ki sada kehi hai hardum
taskeen-e-dil-e-fatima zehra hain yahi gham
mazloom ka matam karo zehra ki dua lo
3. is zikr ki azmat se jannat mili humko
is zikr se zehra ki shifa ath mili humko
sadqe mein isi zikr ke jannt mili humko
mazloom ka matam karo zehra ki dua lo
4. har saans pe wajib hai karo zikr yeh paihum
karna na khaza bhool ke mazloom ka matam
khushnudiya allah hai payambar hai yeh gham
mazloom ka matam karo zehra ki dua lo
5. yeh jaan toh abbas ke parcham ke liye hain
roshan hai yeh aankhen toh isi gham ke liye hain
yeh haath salamat hai toh matam ke liye hain
mazloom ka matam karo zehra ki dua lo
6. yeh haath ruke aur na yeh aansoo ke rawani
asghar ki sada yaad rahe tashna dahani
abbas ke bazoo ali akbar ki jawani
mazloom ka matam karo zehra ki dua lo
7. khoon tapkega aankhon se karo yaad wo
manzar
akbar the na qasim the na abbas-e-dilawar
kya alam-e- tanhayi thi zehra ke pisar par
mazloom ka matam karo zehra ki dua lo
8. is gham ke mitanie ki huwi koshishe paiham
yeh gham na ruka hai na rukega kabhi matam
ooncha hai fareed aaj bhi abbas ka parcham