Aye Noor e Ain e Fatima Zehra Na Jaaiye
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye
Moula Tumhare Aane se Rounaq gharo'n me thi
Din raat GhamTumhara kiya karte the sabhi
Muddat ye do mahino ki maatam me katgayi
Rounag ki jaah hai aaj udaasi baras rahi
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye
Moula Tumhare taazia khaane udaas hain
Jitne Tumhare Shia hain sab be hawaas hain
Dhaaras ye thi ke Aap ghulaamo'n ke paas hain
Ab aap ja rahe hain to Ham sab hiraas hain
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye
Moula Aza ki bazm me Aati thi'n Fatima
Zehmat ye do mahine Uthati thi'n Fatima
Aansu'n Hamare saath Bahaati thi'n Fatima
Ham ko Duaaein deke hiJaati thi'n Fatima
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye
Moula ab Aap agle baras hind Aaenge
Jeete hain rone waale to phir Tum ko paaenge
Maatam karenge aur Alam bhi uthaenge
Waada Karo ke Aaenge aur sab ko laaenge
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye
Aye Jaan e Mustafa o Ali Shaah e Mashraqain
Lillah sunte jaaiye Moula Hamare bain
Ehsaas keh raha hai ke Aye Fatima ke Chain
Jee bhar ke Ham na kar sake Maatam Tera Hussain
Ham Bekason ko Chhor ke Aaqa Na Jaaiye