Kanz e Aza

AYE SHERE NEYASTAANE HAIDAR ABBAS DETI THI SADA ZAINAB ROKAR ABBAS

A noha for Hazrat Abbas (a.s), written by Sachchay Pakistani and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Kya isi din ke liye maangi thi Baba ne Dua

Aake pardes me hojaoge Tum Ham se juda

Sote ho chain se darya ke kinaare Bhayya

Kya sunaayi nahi'n deti Tumhe Halmin ki sada

Abbas Tanha hain Khade rann me Sarwar Abbas


Aye Shere Neyastaane Haidar


Gir ke ghode se sada Baap ko Akbar ne jo dee

Dilbar e Fatima Zehra ki ajab haalat thi

Haath malte the kabhi ghaath ko takte kabhi

Thaam kar tooti kamar kehte the Farzande Nabi

Abbas Laau'n kaise Laashe Akbar Abbas


Aye Shere Neyastaane Haidar


Haal Shabbir ka ab to nahi dekha jaata

Hai kamar khamnahi'n aankhon se sujhaai deta

Ye zaeefi ye jawa'n Laal ka sadma Bhayya

Thaam lo badh ke zara haath tumhi Bhai ka

Abbas Khaate Hain thokar par thokar Abbas


Aye Shere Neyastaane Haidar


Kya issi din ke liye saath behen thi aayi

Aagayi neend jo darya ki taraayi paayi

Phir palat kar Hame surat bhi nahi dikhlaayi

Aagaya ran se Alam tum nahi'n aaye Bhai

Abbas Phat'ta hai Mera sadme se jigar Abbas


Aye Shere Neyastaan e Haidar


Aye Mere Shair e Jawan Aye MereBhai Ho Kahan

Shaag hai dil pa tumhaari ye judaai Ho Kahan

Dair se Deti hu'n Bhayya me Duhaayi Ho Kahan

Lut'ti hai Fatima Zehra ki Kamaayi Ho Kahan

Abbas Khanjar hai Halge Sarwar par Abbas


Aye Shere Neyastaane Haidar


Hai Qayamat ka Sama'n loot hain khaimon me machi

Koi pursaa'n nahi'n haalat hai ajab bachhon ki

Taaziaane koi khaata hai tamaache koi

Aag daaman me hai Maasoom Sakina ke lagi

Abbas Bhayya Utho Lo jald khabar Abbas


Aye Shere Neyastaan e Haidar


Azmat 0 Izzat e Saadaat bhuladiBhai

Aag Khaimo'n me laeeno'n ne lagadi Bhai

Masnad e Ahmed Mursal bhi jaladi Bhai

Tauq o Zanjeer bhi Aabid ko pinhadi Bhai

Abbas Ghash me hai Pada Mera Dilbar Abbas


Aye Shere Neyastaane Haidar


Bhai ko bhool gaye dhayaan na behnon ka raha

Yaad aaya na koi paayi jo Darya ki hawa

Haaye Kis dil se kiya tum nei gawaraa Bhaaya

Har tamaache pa Sakina ne Tumhein yaad kiya

Abbas Jab chheene gaye Kaano se Guhar Abbas


Aye Shere Neyastaane Haidar


Chhor kar Dasht e Musibat me Bahan ko Bhai

Tum ne achha hi kiya door basaayi basti

Dekh sakte the kahan Tum jo hai haalat Meri

Balwa'e Aam me Bhayya Main Khule Sar Hu'n Khadi

Abbas Aada legaye Sar se Chaadar Abbas


Aye Shere Neyastaane Haidar